Hello friemds aaj ke is post me ham aapko bata rahe hai ki kaise aap apne smartphone se youtube par video upload kar sakte hai without copyright. youtube par apna channel bana liye hai ya banana chahte hai par usse pahle video kaise dalte hai iske bare me janana chahte hai, to uski puri details step by step yaha par bata rahe hai.
Youtube par video video yani ki aapka content main hota hai, to yah dhyan rskhe ki video aapka khud ka ho, kisi aur ka na ho, aur video youtube ke policy ke khilaf na ho, video advertisers friendly ho to in sab chijo ka aapko dhyna rakhna chahiye, taki aapko future me koi problem na aaye.
Youtube Pe Video Kaise Daale Mobile Se (how to upload video to youtube from phone)
- Google chrome app open kare - To iske liye first apne smartphone par google chrome browser ko open kar lena.
- Studio.youtube.com - Ab google chrome browser me google par search karna hai studio.youtube.com
- Gmail id se sign in kare - Ab site par jane ke baad apne jo gmail id se youtube channel banaya tha usse sign in kar lena hai, agar pahle se nahi hai to.
- Desktop mode ko on kare - Ab sign hone ke baad aapko apne google chrome ke settings par jana hai, joki left side top ne three dot hoga uspar click karke desktop mode ko on kar lena hai.
- Desktop mode karne se fayda ye hai ki jo page hoga wo computer par jaisa dikhta hai waisa mobile par bhi dikhne lagega.
- Create par click kare - Iske baad video upload karne ke liye 2 option hai joki upar me diya hai create aur uske niche upload ka icon bana hoga, to jaise create par click karenge to upload video ka option najar ayega jispar click kare.
- Select file - Ab apne mobile screen thoda chhota karenge to centre me ek option najar ayega select file ka to ispe click karenge, to aapke mobile ka gallery open ho jayega.
- Gallery se video select kare - Ab apne phone ke storage ya gallery se us video ko select kare jise upload karna hai.
- Ab video upload hona start ho jayega 100% complete hone tak aap video ke baki settings ko pura kar sakte hai.
Title - to yaha pe apne video ka title name likhna hai
Description - yaha par video ke bare me kuch likhe
Thumbnail - Ab thoda niche jayenge to thumbnail ka option hoga to upload thumbanil par click kar apne video ke liye jo thumbnail banaye honge use upload kare.
Playlist - yaha se click karke apne video se related koi naya playlist name bana sakte hai, ya pahle se bane hue playlist ko select kar sakte hai.
Audience - yaha par niche 2 option honge made for kid aur not made for kid to aapka video baccho ke liye hai to aap made for kids ka option select kar sakte hai. nahi to second wala click kare.
Tags - Ab thoda niche ayenge to yaha par tags ka option hoga to isme aapko apne video se related keyword ko add karna hai.
Next - Ab lagbhag sabhi chijo pura ho gaya hai iske baad niche next par click kare.
Video elements -
Add an end screen - iske side me add ka option diya hoga uspar click karke aap and screen me koi dusri video jod sakte hai, jo video ke last me me dikhai dega.
Add cards - Is option ke jariye aap video me kahi par bhi dusri video ke link add kar sakte hai jispar log click kar, aapke us dusri video par ja sakte hai.
Next - ab next par click karna hai.
Checks
Yaha par kuch copyright hoga aapke video me to bata diya jayega nahi hoga to no issue found likha hoga. to ab aapko next par click karna hai.
Visibility
Save or publish - yaha par 3 option hoga to aapko public par click karke niche right side me publish par click karna hai.
Ye bhi padhe :
To is tarah aap youtube par video upload kar sakte hai mobile phone se joki kafi aasan hai, video publish hone ke baad aap us video ka link copy karke use apne social media page par share kar sakte hai, aur extra views la sakte hai.
0 Comments