Hello friends aaj ke is post me ham aapko batane ja rahe hai youtube channel kaise banaye mobile se 2022, how to create youtube channel in mobile 2022. to friends youtube kitna popular hai ye to aap jante hi honge, aur aaj ke samay me youtube par lagbhag har type aur category ke video available hai, aur uska main karan hai youtube apne creator ko paise deta hai. 


Youtube channel kaise banaye mobile se 2022


Iska matlab ye hai ki jab aap youtube par apna new channel create karte hai, aur uspar video upload karte hai, jiske baad aapke video par youtube ads dikhata hai aur usi ads se aapki income hoti hai, aaj youtube par aise bhi log hai jo mahine ka lakho aur croro kama rahe hai, to aap bhi youtube channel bana kar acchi income karna chahte hai to yaha par mai aapko new channel banane ki process bata raha hu.


Youtube channel kaise banaye mobile se 2022 (how to create youtube channel in mobile 2022)


  1. Yaha par mai aapko mobile se youtube channel kaise banaye uske bare me bata raha hu, kyunki kafi log mobile users hai.
  2. Waise mobile se channel banana aur laptop computer me banana lagbhag same hi hota hai isme jyada kuch difference nahi hota hai halaki mobile par app se bhi banaya ja sakta hai.
  3. Step - 1 Create Gmail ID - To sabse pahle aapko ek new gmail id banana hai, agar pahle se hai to bhi ek naya id bana le aur gmail id ko kisi ke sath share na kare.
  4. Step - 2  Open Youtube App - Ab apne mobile me youtube app open kare aur upar right side me aapke gmail ka profile picture hoga jisme aapke name ka first word likha hoga uspar click kare.
  5. Step - 3 Select Gmail id - Ab first me aapke gmail ka name likha hoga uspar click kare, aur iske baad aapke sabhi gmail id show ho jayegi, to apni nayi gmail id par click kar select kare.
  6. Step - 4 Click Your Channel - Ab fir se app me upar diye hue profile icon par click kare, iske baad niche me your channel likha hoga uspar click kare.
  7. Step - 5 Picture And Name - Ab yaha par 2 option honge first picture ispar click karke aap apne youtube channel ka logo set kar sakte hai, aur second me name likha hoga ispar click kar channel ka name de sakte hai. ab niche create channel par click karna hai.
  8. Ab aapka channel to ban chuka hai lekin abhi aap apne youtube par koi video upload naa kare kyunki abhi kuch aur settings hoti hai jinhe aapko complete karna hai.
Channel Ki Settings Kaise Kare - 

  1. Step - 1 Open Chrome app - To sabse pahle aapko apne mobile me google chrome app open kar lena hai.
  2. Step - 2 Open Studio.youtube.com - Ab chrome app me google par search karna hai studio.youtube.com aur search kar site par jana hai.
  3. Step - 3 Sign in - Aapke chrome browser pahle se gmail id sign in nahi hogi to yaha par aapko pahle apna wahi new gmail id address aur password dalkar sign karna hai. iske baad niche continue to studio par click karna hai.
  4. Step - 4 Continue - Ab yaha par youtube studio open ho jayega to pahle continue par click kare.
  5. Step - 5 Settings - Yaha par left side me sabse niche jana hai jisme settings likha hoga uspar click karna hai.
Channel Settings - 

Channel - Ab yaha par left side me second option channel par click karna hai.

Basic info - 
  • Country of  residence - is par click karke india ko select kare.
  • Keywords - yaha par aapko apne channel ka name aur apne channel se related keyword ko likhna hai jaise technical channel hai to, intenret, make money, mobile, computer, gadget is tarah se keyword daal sakte hai jo aap channel par jankari denge us type ka.
Advanced Settings - 
  • Ab upar me basic info ke side me diye hue advanced settings par click karna hai.
  • Audience - yahan par audience me aapko niche 3 option diye gaye honge jinme first hoga made for kids, note made for kids, aur tisra i want to review, to jaise aap kids yani childern baccho ke liye video banate hai to first option ko click kare.
  • Aur baccho se related nahi hai to dusra option ko select kare.
  • Aur dono type ke video dalenge to tisre option ko select kare.
  • Subscriber Count - Thoda niche jayenge to to yaha par subscriber count likha hoga aur uske niche ek box tick hoga jise aap click karke hata denge to isse aapke channel ka subscribe nahi dikhega to ye aapke upar hai ki aapko apne subscriber dusro ko dikhana hai ya nahi.
Feature Eligibility - 

  • Ab upar se advanced settings ke side me diye hue feature eligibility par click karna hai.
  • Intermidiate Features - yaha par first wala settings on hoga, to dusra wala jo settings hai uske side me eligible likha hoga uspar click karna hai, aur agle step me verify phone number par click kar aage country code select kar apna mobile number dale aur otp enter kar verify kare.
  • Advance Features - is settings ko filhal abhi activate nahi kar sakte to ise skip karde.

Mobile se youtube channel kaise banaye iske bare me youtube video dekh sakte hai.




To friends itna sab karne ke baad aapka youtube channel lgabhag settings lagbhag complete ho chuka hai, ab aap apne channel par video upload kar sakte hai, agar aapko youtube se related aur koi jankari chahiye to hame comment karke puch sakte hai, aur is post ko share jarur kare.