Whatsapp me number save kaise kare, agar aap first time whatsapp use kar rahe hai aur aap whatsapp number ko leke jyada soch rahe hai, to aapko isme jyada sochne ki jarurat nahi kyunki whatsapp number koi alag nahi hota balki yah mobile number hi hota hai.
Agar aap contact number save karna jante hai to fir whatsapp number save karne me koi problem nahi ayegi, kyunki dono ka matlab ek hi hai, aap whatsapp se number jod sakte hai aur apne contact phone app ke jariye bhi save kar sakte hai, dono method me number ek hi jagah save hoga. to chaliye dono methiod se number jodne ka tarika aapko bata rahe hai.
Whatsapp me number kaise jodte hai (how to save whatsapp contacts to phone)
First Method - Phone / Call App
Steps :-
- To iske liye first aapko apne mobile me phone call app ko open karna hai.
- Iske baad dial button ko press karna hai jaise call karne ke samay karte hai.
- Ab us number ko type kare jise save karna hai.
- Ab upar me create new contact likha hoga uspar click kare.
- Iske baad uska name type kare, aur fir upar right side save par click kare.
- To ab aap whatsapp par jakar uksa name ya number ko search karenge to unka id mil jayega.
Second Method - Whatsapp App
Steps :-
- To iske liye first aapko whatsapp app ko open karna hai.
- Ab app me niche right me message icon hoga uspar click kare.
- Ab yaha new contact par click kare.
- Ab aapko pahle uska name type karna hai.
- Iske niche number type kare.
- Ab se save par click kare.
- Is tarah se aap whatsapp se number save kar sakte hai, iske baad uski id show ho jayegi jispar click kar usse chat, call etc kar sakte hai.
Whatsapp number kaise save kare video
To friends ab aapko samajh me aa gaya hoga ki whatsapp par number save kaise karte hai, agar koi problem ho to hame comment karke puch sakte hai, aur is post ko social media par share jarur kare.
0 Comments