Hello friends instagram kitna popular hai ye to aap jante hi honge, aur instagram par reels ka features logo ko kafi pasand aa raha hai. aur kafi log ispar apna reels video bhi banate hai aur share karte hai. to agar aapka instagram par account hai aur aap uspar follower badhana chahte hai chahe business ke liye ho ya personal ke liye to ham yaha par kuch methods, app, tips tricks, lekar aaye hai jisse aapka insta follower kafi had tak badh jayega.


Instagram par follower kaise badhaye 2022 ( how to get more followers on instagram free )

  1. Aapko hamesha trending topic par post daalna chahiye chahe wah images ho ya video isse aapke post me views badhenge jisse follower bhi badhenge.
  2. Aapko daily post karna chahiye chahe aap din me 2 kare ya 20 jitna adhik karenge utna hi aapke liye fayda rahega.
  3. Instagram par reel kafi popular hai to aap reels video jyada se jyada banaye.
  4. Koi bhi post kare chahe wah photo ho ya video to usme #tag lagakar post kare, jaise #trend #trending #viral aur iske alawa jis topic par hai uska name lagakar bhi kare.
  5. Aap apne facebook id ko instagram id se connect karke rakhe.
  6. Acche aur trending topic search karne ke liye facebook, twitter, youtube, aur dusre social media par bhi account banaye aur post dekhte rahe.
  7. Dusre logo ko apne post par tag kare.
  8. Face wali ya live video par follower jaldi badhte hai, to aap aise post nahi dalte to aage se daal sakte hai.
  9. Apne account ke bare me dusro ko bataye ki aap aisi video aur jankari share karte hai.
  10. Dusro ko follow kare aur unki post par like comment kare.
  11. Apni id se related other social media par account banaye jaise facebook page, youtube channel, aur dusre short video app aur isme bhi apna post share kare.
  12. Aap apni insta id se related free website banakar bhi follower badha sakte hai.
  13. instagram ke bio me apni dusri id account ka link lagaye.
  14. Insta id follower badhane ke liye kuch apps ka bhi istemall kar sakte hai jaise - genuine likes, top follow app, Real instagram auto likes.
  15. Follower badhane ke liye kuch website ka bhi istemal kar sakte hai jaise- Instamoda.org , Takipstar.com.
  16. Iske alawa apne normal insta id ko professional account me badle isse aapko apne account aur post ke bare me aur adhik details, aur features milti hai.
  17. Agar aap kuch paise kharch karna chahe to aap bahut jaldi hi follower badha sakte hai, paise dekar aap apni id ko promote kar sakte hai, dusre ke id par ho ya insta add ke jariye, ya facebook ya google add ke jariye bhi kar sakte hai.

To inke alawa aur bhi bahut sare tarike hai instagram id follower badhane ke lekin yah jo tarika hamne bataya hai yah popular methods jinhe follow karenge to aapki insta follower bahut jaldi badhne lagenge.

Instagram par follower badhane ke liye yah video bhi dekh sakte hai 



To friends yah the kuch methods aur tips trics jisse aapko apne insta follower badhane me help karegi, aur yah jo tarike hai unhe lagbhag sabhi log follow karte hai, agar aapko aur koi jankari chahiye to hame comment kar sakte hai. aur is post ko share jarur kare.