Jio me caller tune set kaise kare free 2022 | how to set caller tune in jio

 Hello friends in this post ham aapko batane ja rahe hai jio caller tune set kaise kare free 2022, jio sim me caller tune set karna kafi aasan hai, aur iske liye ek se adhik tarike bhi vaialable hai jaise, jio saavan se caller tune set kar sakte hai, sms send karke caller tune set kar sakte hai, iske alawa jio tune copy karke bhi apne number par wahi song set kar sakte hai.

Jio sim me free caller tune set kaise kare


Caller tune ko hello tune bhi kaha jata hai yah tune aap kisi ke number par call karte hai to ring ke jagah song sunai deta hai jo bhi usne set kiya hoga, is tune me aap bhi apne pasan ka koi bhi song set kar sakte hai jo aapke friend ya family me koi bhi aapko call karega to use sunai dega, aur yah jab tak sunai deta rahega jab tak aap call recieve na karle ya call end na ho jaye.


Jio Caller Tune Set Kaise Kare Free Me Best 3 Method 2022 (how to set caller tune in jio for free)


First Method - Jio Saavan App

  1. Jio ssavan app se caller tune set karne ke liye sabse pahle aapko iska app google play store se download kar install karna hoga. ya is link par click kare - jio saavan
  2. Ab app ko open ko open kare aur apna language select kare jaise hindi english aur niche next par click kare.
  3. Ab next me aapko wah laguage choose karna hai jisme aap song sunte hai jaise hindi, english, punjabi ya koi aur aap ek se adhik language bhi select kar sakte hai, ab done par click kare.
  4. Ab niche me search likha hoga uspar click kar koi bhi song ka name likhe aur search kare.
  5. Ab us song ko play kare yahan par pahle bade word me song ka name likha hoga aur uske niche bhi small word me bhi song ka name hoga.
  6. To niche me jo song ka name hoga usi ke side me three dot hoga uspar click kare.
  7. Ab yaha par set jio tune ka option hoga uspar click kare.
  8. Iske baad 3 option honge ye 3 option us song ke alag alag bol honge to in tino ko play karke pahle sunle tino me se jo bhi aapko accha lage uspar click kare.
  9. Ab click karne ke baad wah song aapke number par activate ho jayega jiska confirmation ka message bhi aa jayega.

Second Method - SMS Ke Jariye
  1. Is method me aapko apne jio number se ek message send karna hoga aur uske baad kuch process follow karke jio tune set kar sakte hai.
  2. To sabse pahle apne mobile ke message app me chale jaye.
  3. Ab message me type karna hai JT aur use send kare 56789 is number par.
  4. Iske baad jio ki taraf se ek message ayega jisme song ki kuch category diya hoga.
  5. Is category me Bollywood, Religion, International honge to bollywood song ke liye liye 1 number type kar 56789 par send kare.
  6. Ab ek aur message ayega jisme kuch aur category hogi song ki to usme bhi apne pasand anusar number type kar send kare.
  7. Ab last me aapko confirm karne ke liye Y type kar sms send karna hai.
  8. Iske baad wah song aapke number par set ho jayega.

Third Method - Jio Tune Copy Karke / Call Karke

  • Yah bahut hi simple process hai isme aapko call karna hai aur ek button press karna hai.
  • Jaise aapko apne kisi friend ya family ke number par koi song aapne suna ho aur wah song apko pasand aa gaya.
  • To wahi song aap bhi rakhna chahte hai to iske liye aapko use call karna hai, aur use bol de ki wah aapka call recieve na kare, ab aapko apne mobile par Star * button ko press karna hai.
  • Star button press karne ke baad wahi song aapke jio number par bhi set ho jayega jiska confirm message aapko sms  me mil jayega.
  • To yah kafi accha tarike hai jio me caller tune karne ka jisme aapko koi app na koi message karne ki jarurat padti hai.

Note - Aap month me 1 baar hi free caller tune set kar sakte hai, agar 1 hi month me 2 ya 3 baar change karna chahenge to uske liye aapko paise dene padte hai, jo ki jio saavan app me uska price dekh sakte hai, to aap jab bhi song change karna chahe to 1 month ke baad hi kare isme aap free me kar payenge.


 Ye hi padhe : 




Jio Tune Set Karne Ke Liye Aap Yah Video Bhi Dekh Sakte Hai



To is tarah se aap 3 method se apne jio sim me caller tune set kar sakte hai aapko jo bhi tarika accha lage us tarike se kar sakte hai, waise mere hisab se jio saavan app sabse best hai, isme aap apni pasand ka koi bhi song search karke aur sunkar set kar sakte hai. to jio se related aur koi information ke liye hame comment karke puch sakte hai aur is post ko share jarur kare.

Post a Comment

0 Comments